mujh sa betab yahan koi nahin mere siwa yani barbaad-e-jahan koi nahin mere siwa raushni thi to kai sae nazar aate the tirgi hai to yahan koi nahin mere siwa bhid mein ek taraf gosha-e-ikhlas bhi hai ghaur se dekh wahan koi nahin mere siwa shahr mere hi bharose pe ho khufta jaise hadaf-e-shor-e-sagan koi nahin mere siwa sar-bulandi meri tanhai tak aa pahunchi hai main wahan hun ki jahan koi nahin mere siwa sher mein ghair ki tashbih kahan se aae meri manind yahan koi nahin mere siwa chain likhta hai mere khwab ka rawi 'rashid' is samundar mein rawan koi nahin mere siwa