mujh ko taqdir ne yun be-sar-o-asar kiya ek darwaza dua ka tha so diwar kiya khwab-e-ainda tere lams ne sarshaar kiya khushk baadal the hamein tu ne guhar-bar kiya dekhne ki thi nigahon mein ana ki surat us giraftar ne jab mujh ko giraftar kiya muddaton ghaw kiye jis ke badan par hum ne waqt aaya to usi khwab ko talwar kiya meri chahat ne ajab rang dikhaya mujh ko kashmakash se meri aankhon ko giran-bar kiya ek masiha ko mera chashm-numa thahraya ek qatil ko mera aaina-bardar kiya kat kar phenk di sansar ki kuchen hum ne sabr ko phul kiya phul ko talwar kiya