mujh sa bhi koi ishq mein hai bad-guman nahin kya rashk dekh kar mujhe rang-e-khizan nahin aankhon se dekh kar tujhe sab manna pada kahte the jo hamesha chunen hai chunan nahin uth kar sahar ko sajda-e-mastana ke siwa taat qubul khatir-e-pir-e-mughan nahin afsurda dil ho dar dar-e-rahmat nahin hai band kis din khula hua dar-e-pir-e-mughan nahin ai jazb-e-shauq rahm ki madd-e-nazar hai yar ja sakti wan talak nigah-e-na-tawan nahin shab us ko haal-e-dil ne jataya kuchh is tarah hain lab to kya nigah bhi hui tarjuman nahin katti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaq shayad ki gardish aaj tujhe aasman nahin achchha hui nikal gai aah-e-hazin ke sath ek qahr thi bala thi qayamat thi jaan nahin jaane hai dil falak ka meri sakht-jaaniyan un na-tawaniyon ko pahunchti tawan nahin kahta hun us se kuchh main nikalta hai munh se kuchh kahne ko yun to haigi zaban aur zaban nahin mahka hua hai bait-e-huzan dekhna koi aaya nasim-e-misr ka ho karwan nahin lab band hun to rauzan-e-sina ko kya karun thamta to mujh se nala-e-atish-inan nahin kya kuchh na kar dikhaun par ek din ke waste milta bhi hum ko mansab-e-haft-asman nahin wo shakh-e-nakhl-e-khushk hun main kunj-e-bagh mein dekhe hai bhul kar bhi jise baghban nahin be-waqt aae dair mein kya shorishen karen hum pir-o-pir-e-mai-kada bhi naujawan nahin 'azurda' ne padhi ghazal ek mai-kade mein kal wo saf-tar ki sina-e-pir-e-mughan nahin