wo jis ne mere dil o jaan mein dard boya hai kabhi kabhi meri haalat pe khud bhi roya hai badhe hue the meri samt kitne pyar ke hath kahan ye la ke teri yaad ne duboya hai jo phuti palkon se konpal to ja ke raaz khula ki us ne gham nahin sine mein zahr boya hai tumhin batao ki kis kis se main kalam karun ho tum bhi goya tumhaari nazar bhi goya hai faza hai tera o tarik aur us ka khayal na jaane kaun si duniya mein ja ke soya hai chale phir uth ke usi khwab-zar mein 'arshad' abhi to us ki nazar ka khumar dhoya hai