mujh sath sair-e-bagh kun ai nau-bahaar chal

mujh sath sair-e-bagh kun ai nau-bahaar chal
bulbul hai intizar mein ai gul-izar chal

karne kun qatl aashiq-e-jaan-baz ke sanam
le tegh-e-naz hath kamar rakh katar chal

karne nazara bagh ka nikla hai gul-badan
barja hai har chaman sun gar aawe bahaar chal

us gul-badan sun zauq ham-aghosh hai agar
ho chaak sina gul ke naman ban ke haar chal

us shama-ru ke wasl ka gar tujh kun shauq hai
mahfil mein aashiqan ki ho parwana-war chal

aakhir asir-e-umr ka hai is jahan sun kuch
is waste hai dam ki jaras mein pukar chal

gar azm hai buzurgi is aalam mein hue husul
aamal-nama jag mein apas ka sanwar chal

gar yar ke hai wasl ki neamat ki ishtiha
har shai sun rah u pas wahan lag nahaar chal

awwal khudi ke ghar kun ai 'daud' tod sat
mai-khana-e-visal mein tab sidh-bisar chal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close