ab haal apna us ke hai dil-khwah kya puchhte ho alhamdulillah mar jao koi parwa nahin hai kitna hai maghrur allah allah pir-e-mughan se be-etiqadi astaghfirullah astaghfirullah kahte hain us ke tu munh lagega ho yun hi yarab jun hai ye afwah hazrat se us ki jaana kahan hai ab mar rahega yan banda dargah sab aql khoe hai rah-e-mohabbat ho khizr dil mein kaisa hi gumrah mujrim hue hum dil de ke warna kis ko kaso se hoti nahin chah kya kya na rijhen tum ne pachain achchha rijhaya ai mehrban aah guzre hai dekhen kyunkar hamari us bewafa se ne rasm ne rah thi khwahish-e-dil rakhna hamail gardan mein us ki har gah-o-be-gah us par ki tha wo shah-e-rag se aqrab hargiz na pahuncha ye dast-e-kotah hai ma-siwa kya jo 'mir' kahiye aagah sare us se hain aagah jalwe hain us ke shanen hain us ki kya roz kya khor kya raat kya mah zahir ki baatin awwal ki aakhir allah allah allah allah