mujhe ai zindagi aawaz mat de nahin manzil koi parwaz mat de jiye jata hun aadat ban chuki hai nahin sur lagte yarab saz mat de naya hai rup aalam ka khudaya anokha ab mujhe andaz mat de natija jaanta hun dil-lagi ka sazaen fakhta ko baz mat de pas-e-parda raha hai bhed ab tak nahin hamil unhen tu raaz mat de raha anjam hai jinki nazar mein unhen jo chahe de aaghaz mat de nibhaya farz hi kab hukmaran ka kisi qatil ko tu eazaz mat de