mujhe bhul jaane wale mere dil ki kuchh khabar bhi meri aankh par na jaana ye to khushk bhi hai tar bhi ye qadam ruke ruke se ye jhuka jhuka sa sar bhi yahin un ka naqsh-e-pa hai yahi un ki rahguzar bhi falak-ashna sahi hum magar ehtiyat lazim ki qafas mein le na jae ye mazaq-e-baal-o-par bhi bade shauq se hue the yun haram ko hum rawana ye khabar na thi ki rah mein hai tumhaara sang-e-dar bhi ho daraaz umr yarab mere shaikh-o-barahman ki kahin khatm ho na jae ye jahan-e-khair-o-shar bhi na badal rahi hain ghadiyan na sitare dubte hain kahin thak ke so gai hai shab-e-hijr ki sahar bhi