is dil ko ham-kanar kiya hum ne kya kiya dushman ko dost-dar kiya hum ne kya kiya rahta yahi hai dil mein shash-o-panj-e-yar se aaina kyun do-chaar kiya hum ne kya kiya mutthi bharam ki ghuncha-sifat is chaman mein khol asrar aashkar kiya hum ne kya kiya dar-parda dosti hui hum apne haq mein aah mutrib-pisar ko yar kiya hum ne kya kiya islam bhi ba-jabr tha ai shaikh-o-barhaman kyun jabr ikhtiyar kiya hum ne kya kiya tasbih to padi thi gale ek dusri zunnar ko bhi haar kiya hum ne kya kiya dil ko dukha ke chin-e-jabin-e-pari-washan jun barq be-qarar kiya hum ne kya kiya kahne laga wo qabr pe aashiq ki kyun guzar sahwan sar-e-mazar kiya hum ne kya kiya haihat aashna the jo mauj-e-bala ke pech un ka na intizar kiya hum ne kya kiya bahr-e-jahan se dida-o-danista jun hubab ba-chashm-e-tar guzar kiya hum ne kya kiya dasht-e-junun se tod ke rishte ko jeb ke daman bhi tar kiya hum ne kya kiya us sarw-qad ke ishq mein ye phal mila 'nasir' har sad aah war kiya hum ne kya kiya