mujhe chaman mein gulon se teri siyah zulfon ki bas aai

mujhe chaman mein gulon se teri siyah zulfon ki bas aai
bhula chuka tha jise mera dil wo yaad phir dil ke pas aai

hai kaj-adai ka teri charcha zamane bhar mein ai jaan-e-jaanan
saba bhi teri gali se lauti to dil-shikasta udas aai

pila na saqi tu khum se apne ki tishnagi ye ajib si hai
nazar ke saghar se hi bujhegi jo aaj honton pe pyas aai

na be-wafai ka tum se shikwa gila na apne nasib se hai
mujhe hi taur-e-wafa na aaya mujhe mohabbat na ras aai

bigad pae na dasht-o-sahra junun-o-wahshat ka kuchh bhi 'shaukat'
magar wahan jab khirad gai to ganwa ke hosh-o-hawas aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close