mujhe dar se apne tu tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin koi aur bhi hai tere siwa tu agar nahin tu jahan nahin padi jis taraf ko nigah yan nazar aa gaya hai khuda hi wan ye hain go ki aankhon ki putliyan mere dil mein jae butan nahin mere dil ke shishe ko bewafa tu ne tukde tukde hi kar diya mere pas to wahi ek tha yan dukan-e-shisha-garan nahin mujhe raat sari hi tere han kate kyun ke rote na shama san ki ho sake hai kuchh ab bayan na ye baat hai ki zaban nahin koi samjhe kyun ke ye muddaa ki paheli sa hai ye majra kaha main tujhe nahin chah kya laga kahne mujh se ki han nahin na mila hamein koi nukta-dan ye bipat suna den bhala kahan na hua sabhon pe wahi ayan jo kasu se yan to nihan nahin tujhe dard kyun ki sunaun main na khuda kisi ko dikhae ye jo kuchh apne ji pe guzarti hai kahun kya ki us ka bayan nahin