mujhe do rang bharne ki ijazat main banata hun jahan banti nahin hai koi surat main banata hun tumhein to thik se barbaad karna bhi nahin aata chalo pichhe hato apni ye haalat main banata hun ta'alluq mein koi rakhna banana sakht-jaani hai tere hathon ki narmahat salamat main banata hun tere hisse mein pahle ashk se aaghaz karna hai baqaya kar-e-girya ko nihayat main banata hun meri hamdam ko shikwa hai ki main kuchh bhi nahin karta mere bachche samajhte hain ki qismat main banata hun ghadi ki suiyan tartib mein tik-tik banati hain magar ye jagne sone ki aadat main banata hun