mujhe ek ek baras ek ek ghadi ma'lum hoti hai shab-e-furqat qayamat se badi ma'lum hoti hai jhadi ashkon ki moti ki ladi ma'lum hoti hai nihan aankhon mein hire ki kani ma'lum hoti hai nasihat aaj-kal aisi buri ma'lum hoti hai bajae dosti ke dushmani ma'lum hoti hai jawani par wo aae hain sitam karne to do un ko haqiqat ishq-bazi ki abhi ma'lum hoti hai bharosa us but-e-ayyar ke wade pe hai tum ko janab-e-dil mujhe to ye tadi ma'lum hoti hai sudharna ab bahut dushwar hai haalat-e-alam ka qayamat tak yahi ab gad-badi ma'lum hoti hai jo dekha jae to pure na utrenge kisi mad mein musalmanon mein koi ek kami ma'lum hoti hai jo munh se kah diya apne use pura hi kar dije isi se to zaban ki pukhtagi ma'lum hoti hai yaqin aata nahin un ko 'ata' meri mohabbat ka mere dil ki lagi bhi dil-lagi ma'lum hoti hai