tasbih un ke nam ki padhte hain aam khas ram-o-rahim donon isi ke hain nam khas apna sa dil samajh ke kisi ka na tod dil kahte hain is ko hai ye khuda ka maqam khas main to bura nahin hun muqaddar bura sahi lete hain kyon burai se mera wo nam khas jis ko wo chahte hain wo achchha hai har tarah kuchh chiz zat-pat na takhsis-e-am khas sargoshiyan raqib se karta tha nama-bar us fitna-gar ne bheja hai koi payam khas wade pe rah na us but-e-wa'da-khilaf ke ai dil tu kar ke baitha hai kyon intizam khas har kaam apne qabu talab karna chahiye dale khuda kisi se bhi koi na kaam khas har sher tera qabil-e-tarif hai 'ata' islahi shan rakhta hai tera kalam khas