mujhe gharaz hai sitare na mahtab ke sath chamak raha hai ye dil puri aab-o-tab ke sath napi-tuli si mohabbat laga bandha sa karam nibha rahe ho talluq bade hisab ke sath main is liye nahin thakta tere taaqub se mujhe yaqin hai ki pani bhi hai sarab ke sath sawal-e-wasl pe inkar karne wale sun sawal khatm nahin hoga is jawab ke sath khamosh jhil ke pani mein wo udasi thi ki dil bhi dub gaya raat mahtab ke sath jata diya ki mohabbat mein gham bhi hote hain diya gulab to kante bhi the gulab ke sath main le udunga tere khadd-o-khal se tabir na dekh meri taraf chashm-e-nim-khwab ke sath are ye sirf bahana hai baat karne ka meri majal ki jhagda karun janab ke sath visal-o-hijr ki sarhad pe jhutpute mein kahin wo be-hijab hua tha magar hijab ke sath shikasta aaina dekha phir apna dil dekha dikhai di mujhe tabir-e-khwab khwab ke sath wahan milunga jahan donon waqt milte hain main kam-nasib tere jaise kaamyab ke sath dayar-e-hijr ke roza-guzar chahte hain ki roza kholen tere aur sharab-e-nab ke sath tum achchhi dost ho so mera mashwara ye hai mila-jula na karo 'faris'-e-kharab ke sath