mujhe ghubar udata hua sawar laga mera qayas hawaon ko nagawar laga uchhaalne mein tujhe kitne hath shamil the kinare baith ke lahron ka kuchh shumar laga wo budha ped jo tha barg-o-bar se mahrum hum us se lag ke jo baithe to saya-dar laga ubur dariya ko karta raha magar ek bar hue jo shal mere bazu to be-kanar laga nigah arz-o-sama mein jo main ne daudai khincha hua mujhe chaaron taraf hisar laga