suni kisi ne kahan mere intizar ki baat har ek zaban pe rahi ikhtiyar-e-yar ki baat abhi hai waqt chalo rabta bahaal karen dilaen yaad use ahd-e-paedar ki baat abhi hain karb ke kuchh aur marhale baqi abhi chali hi kahan hai mere dayar ki baat yahan shajar ka shajar daw par hai nadanon tumhaare lab pe wahi shakh-o-barg-o-bar ki baat bada baligh ishaara tha us ki baaton mein hamara zikr tha aur rah ke ghubar ki baat kisi ke dil ke ujadne ki baat hai 'anwar' khizan ki baat nahin hai nahin bahaar ki baat