mujhe in sang-rezon ko guhar karna bhi aata hai shab-e-tarik ko nur-e-sahar karna bhi aata hai hamari khamushi bhi maslahat ke taht hai warna zamane ko hamein zer-o-zabar karna bhi aata hai zamana chhin le ye aish-e-duniya bhi to kya gham hai mujhe to be-sar-o-saman guzar karna bhi aata hai wo apni manzil-e-maqsud ek din pa hi jate hain jinhen dushwar rahon mein safar karna bhi aata hai khushi ki chhanw mein rahne ke hum aadi to hain lekin ghamon ki dhup mein 'shadan' basar karna bhi aata hai