mere wajud ki qaem asas rahne de zamin ke jism pe koi libas rahne de meri tamam khushi khush-dili se le ja tu jo tere gham hain wo sab mere pas rahne de mujhe to pina hai aankhon se teri ji-bhar kar tu mere samne khali gilas rahne de kabhi kabhi mujhe tanhaiyon mein chhod bhi de kabhi kabhi to mujhe bhi udas rahne de ye talkh lahja tera dil ko kar na de ghayal zaban-o-lab pe zara si mithas rahne de main tujh se dur bahut ho ke ji na paunga tujhe qasam hai mujhe apne pas rahne de tu meri pyas ki shiddat bujha nahin sakti ai chashm-e-mast mere lab ki pyas rahne de ta'alluqat na kar tark apne 'shadan' se kabhi-kabhaar to milne ki aas rahne de