mujhe jab bhi wo galiyan aur wo rasta yaad aata hai koi dhundla sa manzar hai jo ujla yaad aata hai faza-e-dil pe tari hai bahut hi habs ka mausam teri qurbat ki khushbu ka wo jhonka yaad aata hai kaha tum to judai ka wo manzar bhul baithe ho khala mein dekh kar mujh se wo bola yaad aata hai khizan-rut hai magar mujh ko khayalon ke tasalsul mein mohabbat ke gulabon ka wo sapna yaad aata hai kisi ke dukh bhare lamhe mein jab koi bilakta hai haqiqat mein use har zakhm apna yaad aata hai musalsal ret par chalna wafa ki rit thahri hai teri dahliz tak phaila wo sahra yaad aata hai wo lamha jo guzarte mausamon mein sath thahra hai mujhe khud bhi nahin malum kitna yaad aata hai kabhi jab hijr ki aahat se dil aangan mein aati hai bahut apnaiyat se bas wo apna yaad aata hai tera hi aks utra hai meri nazmon mein ghazlon mein wo lahja teri chahat ka wo chehra yaad aata hai hamara nam likha tha kabhi jo ret par us ne kabhi jab yaad aae to wo dariya yaad aata hai mere aangan mein jab bhi sham ke sae utarte hain mujhe 'shahin' mohabbat ka hi saya yaad aata hai