phir to sab hamdard bahut afsos ke sath ye kahte the khud hi lade bhanwar se kyun zahmat ki hum jo baithe the dilon ke ilmon se wo ujala tha har chehra kala tha yun to kisi ne apne bhed kisi ko nahin batae the mathe jab sajdon se uthe to safon safon jo farishte the sab is shahr ke the aur hum in sab ke jaanne wale the ahl-e-huzur ki baat na puchho kabhi kabhi un ke din bhi soz-e-safa ki ek safrawi uktahat mein katte the qalinon par baith ke azmat wale sog mein jab roe dimak lage zamir is izzat-e-gham par kya itrae the jin ki jibh ke kundal mein tha nish-e-aqrab ka paiwand likkha hai un bad-sukhanon ki qaum pe azhdar barse the jin ke lahu se nikhar rahi hain ye sarsabz hameshgiyan azlon se wo sadiq jazbon tayyab rizqon wale the