mujhe kahan mere andar se wo nikalega parai aag mein koi na hath dalega wo aadmi bhi kisi roz apni khalwat mein mujhe na pa ke koi aaina nikalega wo sabz dal ka panchhi main ek khushk darakht zara si der mein wo apna rasta lega main wo charagh hun jis ki ziya na phailegi mere mizaj ka suraj mujhe chhupa lega kuredta hai bahut rakh mere mazi ki main chuk jaun to wo ungliyan jala lega wo ek thaka hua rahi main ek band sarae pahunch bhi jaega mujh tak to mujh se kya lega