mujhe kal achanak khayal aa gaya aasman kho na jae samundar ko sar karte karte kahin baadban kho na jae koi na-muradi ki yalghaar sine ko chhalni na kar de kahin dasht-e-anfas mein sabr ka karwan kho na jae ye hansta hua shor sanjidgi ke liye imtihan hai so mohtat rahna ki tahzib-e-ah-o-fughan kho na jae ise waqt ka jabr kahiye ki bechaargi jism o jaan ki makan khone walon ko dar hai ki ab la-makan kho na jae main apne iradon ki gathri uthae kahin ja na paya hamesha ye dhadka raha mahfil-e-dostan kho na jae ye qisson ki rim-jhim mein bhiga hua halqa-e-guftugu hai yahan chup hi rahna ki tasir-e-lafz-o-bayan kho na jae yahan kis ko fursat ki aaghaz o anjam ko yaad rakkhe sabhi ko ye tashwish hai waqt ka darmiyan kho na jae ye bazar-e-nafa-o-zarar hai yahan be-tawazun na hona sameto agar sud to dhyan rakhna ziyan kho na jae utho 'azm' is aatish-e-shauq ko sard hone se roko agar ruk na pae to koshish ye karna dhuan kho na jae