zindagi sada waraq par ek hasin tahrir hai aur ye duniya usi tahrir ki tafsir hai haq-ba-jaanib sirf hum hain dusra koi nahin khud-pasandi ki yahi adna si ek taswir hai ye bhi andaz-e-taghaful aur talawwun ki dalil jo bahut pyara tha ab wo laeq-e-tazir hai rahbar milte hain lekin rah dikhlate nahin manzilon par jo pahunch jae wahi rah-gir hai zud-ranji bhi 'wasiyya' ek aadat hi sahi ye to batla den ki is mein kya meri taqsir hai