mujhe kha hi gaya apnon ka gham aahista aahista

mujhe kha hi gaya apnon ka gham aahista aahista
ye dil hota gaya waqf-e-alam aahista aahista

badhae jaiye mashq-e-sitam aahista aahista
ye dil bhi ho chala manus-e-gham aahista aahista

ba-in-raftar niklega tere iqbaal ka suraj
ayan hota hai jaise subh-dam aahista aahista

kabhi un ki taraf-dari kabhi mujh se wafadari
khula jata hai ab un ka bharam aahista aahista

sunenge ab unhin do tin sharton par mera qissa
bayan-e-mukhtasar ho kam se kam aahista aahista

karen is raaz ki uqda-kushai aasman wale
gire jate hain kyon pasti mein hum aahista aahista

bhala kyunkar na uth jae waqar-e-admi 'hasrat'
uthi duniya se jab rasm-e-karam aahista aahista


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close