meri ghazal ki sabahat ko KHadd-o-Khaal to de

meri ghazal ki sabahat ko khadd-o-khal to de
aur is khayal ko aaina-e-jamal to de

kahin na kar de ise gharq zor tufan ka
bhanwar se kashti-e-dil na-khuda nikal to de

ghazal ki shan bhi rah jae aur meri bhi
mera mizaj achhuta sa ek khayal to de

shuur-o-fikr ki ranaiyon mein kho jaun
khayal-e-mazi ko aashuftagi-e-haal to de

main imtihan-e-wafa se bhi surkh-ru niklun
sawal-name mein aisa koi sawal to de

gham-e-zamana gham-e-arzu gham-e-‘hasrat’
meri hayat ko kuchh aur mah-o-sal to de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close