mujhe khadsha hai apni chashm-e-tar se kahin pani guzar jae na sar se jala di hain abhi se main ne shamen mujhe hai intizar-e-shab sahar se safine waqai hon gar safine to kab marub hote hain bhanwar se hua yun darmiyan hail zamana hum ojhal ho gae apni nazar se unhen dad-e-safar deti hai manzil jo ghabraate nahin tul-e-safar se tere aage koi kya lab-kusha ho dhadak uthte hain dil teri nazar se bahut sahra ko thin jin se umiden wo baadal bhi 'zafar' gulshan pe barse