nikhaarti rahi yalghaar-e-sang kya karte hum apna halqa-e-ahbab tang kya karte use tha shauq bahut aasman chhune ka ye kat gai thi hamari patang kya karte ye daur de gaya tamghat chapluson ko hum aise dasht-e-ana ke malang kya karte mizaj paya tha ghul-mil ke sab mein rahne ka juda tha sab se magar apna rang kya karte ek umr baad hua waqt mehrban to 'nadim' na aarzu thi na dil mein umang kya karte