mujhe khwab-e-sarab-e-azab diye meri ruh ka naghma chhin liya aashob-e-malal ishrat-e-jaan 'wijdan' se kya kya chhin liya ek ranj-e-safar ki dhul mere chehre pe gard-e-malal hui ek kaif jo sangi sathi tha us kaif ka saya chhin liya mere hath bhi zakhm-e-dil ki tarah main tut gaya sahil ki tarah ai dard-e-gham-e-hijran tu ne kya mujh ko diya kya chhin liya in rangon mein mera rang bhi tha in baaton mein meri baat bhi thi mera rang mita meri baat kati kis ne mera rasta chhin liya ai shahr-e-alam meri baat to sun tu khwab mere wapas kar de main tera karam lauta dunga tu ne mera chehra chhin liya main nauhagari tak bhul gaya mere log jale mere shahr lute is shahr-e-maishat ne mujh se ehsas ka dariya chhin liya ye sud-o-ziyan ki baaten hain in baaton mein kya rakkha hai ek khwab-e-tamanna de ke mujhe ek khwab-e-tamanna chhin liya