mujhe koi pareshani nahin hai ki mera ishq la-fani nahin hai abhi to apni ninden so raha hai abhi tera koi sani nahin hai wo thukra de ki ab dar se utha de hamein bhi shauq-e-darbani nahin hai khuda jaane kahan thahre hue hain palat jaane mein aasani nahin hai ye basti dubne wali hai shayad kisi ki aankh mein pani nahin hai ye kaisa dasht hai dasht-e-mohabbat yahan sab kuchh hai virani nahin hai mukammal hai ye khud mein yun bhi 'asim' mohabbat misra-e-sani nahin hai