mujhe malum hai basti mein ghurbat kam nahin hoti dilon mein phir bhi logon ke mohabbat kam nahin hoti meri fankari meri umr se pahchanne walon kisi machis ki ek tili mein taqat kam nahin hoti kukurmutton ke bichon-bich khilta gul bhi kahta hai kisi muflis ko apnane se izzat kam nahin hoti ujala surya ka mahlon mein bhi hai jhonpadi mein bhi ho koi aadmi malik ki rahmat kam nahin hoti tumhaare kanch ke mahlon ki azmat chahe kuchh bhi ho jahan mein pattharon ki qadr-o-qimat kam nahin hoti tumhaare pyar mein ghazlen hazaron kah gaya warna faqat ek sher kahne mein mashaqqat kam nahin hoti