faiz tha us ke tasawwur ka jo chashm-e-tar tak qafile rang ke khinch aae hamare ghar tak dekhte ahl-e-jahan zauq-e-wafa ke jauhar us ki talwar hi pahunchi na hamare sar tak tere kuche ki faza aur hi kuchh hai yun to nazren ho aai hain duniya ke har ek manzar tak ai khirad tujh se kisi dil ko jagaya na gaya ishq ke hath mein to bol uthe patthar tak hum to mausam ke ishaaron se bahak jate hain mai-kashi kuchh nahin mahdud khum-o-saghar tak maut aa jae bas ek sajda-e-pur-shauq ke baad kash ho jae rasai kabhi tere dar tak kya ho anjam taraqqi ka khuda jaane 'jalil' shorish-e-aql se larzan hain mah-o-akhtar tak