mujhe miTata raha hai ye aasman bahut

mujhe mitata raha hai ye aasman bahut
magar zamin pe hain ab bhi mere nishan bahut

hai lutf kuchh to hai mere jadid lahje mein
qadim warna hai meri bhi dastan bahut

talash ho bhi to kya saya-e-shajar ki mujhe
mere liye hai ye suraj ka saeban bahut

ab aage un ke dilon mein hai kya khuda jaane
nazar to aate hain ye log mehrban bahut

ajab nahin ki main dariya na par kar paun
shikasta hai meri kashti ka baadban bahut

bahae pyar ne chashme hazar-ha lekin
hai sakht ab bhi tere dard ki chatan bahut

pata nahin ye mujhe aaj-kal hua kya hai
main apni zat se 'khawar' hun bad-guman bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close