siyah nama-e-amal ek bahana tha

siyah nama-e-amal ek bahana tha
kisi tariqe se maqsad mujhe jalana tha

suna raha tha har ek nakhl dastan koi
har ek makan ke lab par koi fasana tha

libas mein wo hasin aur purkashish thahre
sharir nazron se jin ko badan chhupana tha

jaga diya tha use bhi azan ke dar ne
mujhe bhi subh-sawere safar pe jaana tha

bichha hua tha samundar nigah ke aage
chamakti ret ka manzar bhi kya suhana tha

pahunch raha hun main takhir se sar-e-manzil
ki qafile ko mujhe sath le kar aana tha

koi panah mayassar hai aaj 'khawar' ko
na kal jahan mein kahin qais ka thikana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close