mujhe pata hai bas itna ki pyar karna hai aur ek bar nahin bar bar karna hai tum apna kaam ab achchhe se kyun nahin kartin tumhaara kaam mujhe be-qarar karna hai tujhe gale se laga ke bhi dekha jaega abhi to mujh ko tera intizar karna hai main is jahan ke liye khud ko chhod baitha hun isi jahan ne mujhe darkinar karna hai