use panw jamane ko kinara mil gaya hai banega dost ab dushman ishaara mil gaya hai bahut roe hain man bete kisi ko yaad kar ke bahal jaega bete ko ghubara mil gaya hai saheli sath chalte hain chal us ki chhanw mein hum ghazab ki dhup mein ek abr-para mil gaya hai wo mera khud-nigar naraaz ho kar jaane wala palat aaya to main samjhi dobara mil gaya hai safar ki samt ka main khud tayyun kar chuki thi na jaane tum ye kyun samjhe sitara mil gaya hai hui pal bhar mein khakistar talluq ki imarat bhare barud ko jaise sharara mil gaya hai hain us ke sar-waraq pur-khar phulon se ziyaada hamein agli mohabbat ka shumara mil gaya hai chhupa kar zikr karna tha mera sheron mein us ne so us ko jal-pari ka istiara mil gaya hai