mujhe puchha hai aa kar tum ne us akhlaq-e-kaamil se ki main sharminda ho kar rah gaya andaza-e-dil se nazar ke rukh ko ya to dil ki jaanib pher lene do nahin to samne aa jao uth kar parda-e-dil se umiden uth rahi hain saikdon ummidwaron ki main tanha hun magar tanha nahin utthunga mahfil se amir-e-karwan jis raushni ke bal pe badhta hai nikalta hai wo tara subh hote khak-e-manzil se unhen duniya ab ashk-e-gham kahe ya khun ki bunden mohabbat ne charagh aankhon mein la kar rakh diye dil se ab us nang-e-mohabbat se kinara bhi to mushkil hai mujhe jis ki mohabbat ka yaqin aaya tha mushkil se abhi to sham hai aaghaz hai parwana-sozi ka koi is shama ko aagah kar do subh-e-mahfil se abhi tahqiq behtar hai ki phir shikwa abas hoga ki mir-e-karwan waqif nahin aadab-e-manzil se mitane se kabhi naqsh-e-mohabbat mit nahin sakta mera afsana niklega teri rudad-e-mahfil se ghanimat hai nazar raushan hai dil ab tak dhadakta hai mohabbat mein to ye aasaniyan milti hain mushkil se ufuq ke aaine mein ho na ho dhaare ke sae mein nazar aati hain tufanon ki sarhad jaise sahil se tera jalwa to kya tu khud bhi tafrih-e-nazar hota meri aankhon ne ab tak bhik mangi hi nahin dil se sitam ki aakhiri manzil pe izhaar-e-pashemani nikal aate hain aansu yun to har dukhte hue dil se main ek zarra hun lekin wusat-e-sahra se waqif hun utha sakta nahin khud mir-e-mahfil mujh ko mahfil se tahayya kar liya tang aa ke go tark-e-talluq ka magar ab fikr hai ye khat unhen likkhenge kis dil se mujhe 'ehsan' mere qafile walon ne ab samjha ki ye zarra sitara ban gaya taqdir-e-manzil se