ud kar suragh-e-kucha-e-dilbar lagaiye kis tarah donon bazuon mein par lagaiye ek tir dil par ek jigar par lagaiye hissa lagaiye to barabar lagaiye phulon mein topiye mujhe nazuk-dimagh hun lillah is lahad mein na patthar lagaiye jab bazm-e-yar mein hai takalluf rasai ka khalwat-sara-e-khas mein bistar lagaiye har dam kiya kare rag-e-jaan marhaba ka shor is nok-jhonk se koi nashtar lagaiye barson se be-qarar hai taskin ke liye jhukiye zara jigar se mere sar lagaiye kya bastani qafas ki ye bulbul ko bhejiye hisse mein us ke phulon ki chadar lagaiye ja apne dil mein dijiye mujh saf-qalb ko aaine mein shabih-e-sikandar lagaiye yawar nasib ho to hasinon ko chahiye dil un se aazma ke muqaddar lagaiye aksar wo kahte hain ki jo bosa talab kare is guftugu pe munh ise kyunkar lagaiye aae dahan-e-zakhm se aawaz aur aur is is ada-o-naz se khanjar lagaiye purze mere udaiye bheja hai main ne khat be-jurm kyun kabab-e-kabutar lagaiye surat jo ek ek ki takta hai aaina hasrat ye hai suragh-e-sikandar lagaiye hain aap to tamam khudai ke nakhuda mera jahaz bhi lab-e-kausar lagaiye barham-mizaj ho ke wo bargasht-agi kare daftar mein jis ke fard-e-muqaddar lagaiye daulat jo mujh gharib ki luti hai aap ne kya kijiyega hissa-e-lashkar lagaiye jatanon ki jaanen lin hain unhen khun-baha mile pura hisab dekh ke daftar lagaiye us gul ki aa hi jaegi khushbu dimagh mein chaliye riyaz-e-ishq mein chakkar lagaiye ifsha kiya jo ishq to jhunjhla ke bole wo likhwa ke ishtihaar ye ghar ghar lagaiye sau ja se dil phata hai kaleja hai chaak chaak paiwand phad phad ke chadar lagaiye phir uth ke tere hath se katwaiye gala kyun-kar dobara jism mein phir sar lagaiye sath is qadar hain us shah-e-khuban ke sarfarosh barson hisab kasrat-e-lashkar lagaiye kahte hain lakht-e-dil ko wo bazar-e-husn mein sauda ye mere urdu se bahar lagaiye mujh se lagawat aap ki shamshir karti hai marta hun us pe is ko mere sar lagaiye sailab-e-ashk ne mere raste kiye hain band kashti manga ke muttasil-e-dar lagaiye khilat shahid-e-naz ko bhijwate hain jawab kashti mein pahle phulon ki chadar lagaiye pahuncha ke khat halal hua hai ye ai 'sharaf' aankhon se le ke khun-e-kabutar lagaiye