mujhe rona nahin aawaz bhi bhaari nahin karni mohabbat ki kahani mein adakari nahin karni hawa ke khauf se lipta hua hun khushk tahni se kahin jaana nahin jaane ki tayyari nahin karni tahammul ai mohabbat hijr pathrila ilaqa hai tujhe is raste par tez-raftari nahin karni hamara dil zara ukta gaya tha ghar mein rah rah kar yunhi bazar aae hain kharidari nahin karni ghazal ko kam-nigahon ki pahunch se dur rakhta hun mujhe banjar dimaghon mein shajar-kari nahin karni wasiyyat ki thi mujh ko qais ne sahra ke bare mein ye mera ghar hai is ki chaar-diwari nahin karni