yaadon ki jagir na hoti to main yaro kya karta gar us ki taswir na hoti to main yaro kya karta us ke dam se ranjha tha main wo hi meri pahchan bani wo gar meri hir na hoti to main yaro kya karta qail karna kaam tha mushkil par wo qail ho hi gaya lahje mein tasir na hoti to main yaro kya karta mera kaam tamam tha warna us ke nek irade se hathon mein shamshir na hoti to main yaro kya karta andar se main tuta-phuta ek khandar virana tha zahir jo tamir na hoti to main yaro kya karta zulmat-e-shab mein raushan 'afzal' ek nanha sa jugnu tha itni bhi tanwir na hoti to main yaro kya karta