mujhe shad rakhna ki nashad rakhna mere dida o dil ko aabaad rakhna bhulai nahin ja sakengi ye baaten tumhein yaad aaenge hum yaad rakhna wo nashad o barbaad rakhte hain mujh ko ilahi unhen shad o aabaad rakhna tumhein bhi qasam hai ki jo sar jhuka de usi ko tah-e-tegh-e-bedad rakhna milenge tumhein rah mein but-kade bhi zara apne allah ko yaad rakhna jahan bhi nashe mein qadam ladkhadaen wahin ek masjid ki buniyaad rakhna sitaron pe chalte hue ibn-e-adam nazar mein farishton ki uftad rakhna 'hafiz' apne afkar ki sadgi ko takalluf ki uljhan se aazad rakhna