na kar dil-jui ai sayyaad meri ki fitrat hai bahut aazad meri asiri se rihai pane walo tumhein pahunche mubarakbaad meri sahaara kyun liya tha nakhuda ka khuda bhi kyun kare imdad meri bhula do mujh ko lekin yaad rakhna sataegi tumhein bhi yaad meri farishte kya murattab kar sakenge bahut be-rabt hai rudad meri pasand aane lagi thi sar-bulandi yahi thi awwalin uftad meri kya paband-e-nai nale ko main ne ye tarz-e-khas hai ijad meri mere ashaar par chup rahne wale tere hisse mein aai dad meri qaza ka zulm had se badh gaya hai koi sunta nahin fariyaad meri khudawanda qaza ne chhin li hai mere aaghosh se 'irshad' meri