mujhe suno ki hadis-e-ghazal-numa hun main

mujhe suno ki hadis-e-ghazal-numa hun main
mujhe padho waraq-e-mushaf-e-wafa hun mein

milegi is mein tumhein apne dil ki dhadkan bhi
kisi ke qalb-e-shikasta ki ek sada hun main

tamam raat jo ladta raha andheron mein
harim-e-ishq ka wo aakhiri diya hun main

badha hua hai zamane mein karobar ka qad
ki apne qad se bhi kuchh aur ghat gaya hun main

har ek milta hai mujh se ab ajnabi ki tarah
khud apne shahr mein begana ban gaya hun main

ab apni shakl bhi pahchan mein nahin aati
kabhi jo bhule se aaina dekhta hun main

na falsafi na mufakkir na mujtahid na khatib
'wafa' ye kuchh bhi nahin hun magar wafa hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close