mujhe tadpa ke sharmata to hoga kiye par apne pachhtata to hoga na lagta hoga dil bagh-e-iram mein kabhi ghar mera yaad aata to hoga shikast-e-zindagi de kar mujhe yun wo fateh ban ke itraata hoga kabhi yaad aa hi jate honge wo din tera dil bhi tadap jata to hoga nahin tark-e-mohabbat itna aasan tasawwur mera rulwata to hoga sukun-e-zindagi mein hogi halchal dil-e-maghmum ghabraata to hoga tabassum chhin gaya hoga labon se wo dil hi dil mein gham khata to hoga bahaar-e-rafta aati hogi jab yaad junun mein sar ko takraata to hoga ba-zahir khush sahi lekin kahan khush banawat karke thak jata to hoga wafaen meri yaad aati na hongi teri aankhon mein ashk aata hoga ye mana be-murawwat sang-dil hai magar patthar pighal jata to hoga na jaani bewafa ne qadr-e-neamat mujhe ab kho ke pachhtata to hoga dil-e-mahzun mein tis uthti na hogi khayal-e-'tahira' aata to hoga