ye kis ne dal kanton ki qarib-e-ashiyan rakh di kahan ki chiz thi nadan ne dekho kahan rakh di ab is diwangi par kyun na ware jaen hum yaro ki jis ne khar ke munh mein shagufe ki zaban rakh di zamane ki nazar mein khar-o-khas the chaar tinke the unhin par dil ke kari-gar ne buniyaad-e-jahan rakh di hum apni be-khudi mein ghar ka naqsha bhul baithe hain kahan hai taq-e-nisyan jis pe tashwish-e-ziyan rakh di hamare ishq ke charche zamane bhar mein hote the ye kis ne dushmani aakhir hamare darmiyan rakh di karam kafi tha tere 'soz' ke barbaad karne ko sitam ke hath mein talwar kyun a jaan-e-jaan rakh di