mujhe tarik raaton ka sitam sone nahin deta

mujhe tarik raaton ka sitam sone nahin deta
bhale hi dard zyaada ho ya kam sone nahin deta

udasi chikhti rahti hai aksar der raaton tak
mujhe hasti ka har ranj-o-alam sone nahin deta

na jaane kitne sayon ka taaqub hai abhi karna
mujhe aksar yahi bas ek gham sone nahin deta

abhi haalat hain aise ke har shai bikhri bikhri hai
musalsal ek fikr-e-besh-o-kam sone nahin deta

kabhi dhun pe tumhaari sanson ki main so bhi jata hun
kabhi zulfon ka teri pech-o-kham sone nahin deta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close