zahrab-e-hayat pi raha hun

zahrab-e-hayat pi raha hun
hairat hai ki phir bhi ji raha hun

kis kis ki zaban band karta
khud apne hi hont si raha hun

talib hai farishtagi ki duniya
aur main faqat aadmi raha hun

kya kam hai ye saneha ki main hi
un aankhon ki kirkiri raha hun

suraj se ladane wala aankhen
main hi suraj-mukhi raha hun

rudad-e-hayat hai bas itni
pamal-e-sitamgari raha hun

apni hi nigah mein 'nawak' ab tak
ye sach hai ki ajnabi raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close