mujhe taslim be-chun-o-chura tu haq-ba-jaanib tha mere anfas par lekin ajab pindar ghaalib tha wagarna jo hua us se siwae ranj kya hasil magar han maslahat ki rau se dekhen to munasib tha main tere baad jis se bhi mila tikha rakha lahja ki is be-laus chahat ke ewaz itna to wajib tha main kuchh puchhun bhi to akasr jawaban kuchh nahin kahta guzishta ek arse se jo bas mujh se mukhatib tha main umr-e-rafta ki bazi se itna hi samajhta hun shikast o fath do harf-e-izafi khel jalib tha