mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milai maza aa gaya

mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milai maza aa gaya
barq si gir gai kaam hi kar gai aag aisi lagai maza aa gaya

jam mein ghol kar husn ki mastiyan chandni muskurai maza aa gaya
chand ke sae mein ai mere saqiya tu ne aisi pilai maza aa gaya

nashsha shishe mein angdai lene laga bazm-e-rindan mein saghar khanakne laga
mai-kade pe barasne lagin mastiyan jab ghata ghir ke aai maza aa gaya

be-hijabana wo samne aa gae aur jawani jawani se takra gai
aankh un ki ladi yun meri aankh se dekh kar ye ladai maza aa gaya

aankh mein thi haya har mulaqat par surkh aariz hue wasl ki baat par
us ne sharma ke mere sawalat pe aise gardan jhukai maza aa gaya

shaikh-sahab ka iman bik hi gaya dekh kar husn-e-saqi pighal hi gaya
aaj se pahle ye kitne maghrur the lut gai parsai maza aa gaya

ai 'fana' shukr hai aaj baad-e-fana us ne rakh li mere pyar ki aabru
apne hathon se us ne meri qabr pe chadar-e-gul chadhai maza aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close