mujhe to yun bhi isi rah se guzarna tha dil-e-tabah ka kuchh to ilaj karna tha meri nawa se teri nind bhi sulag uthti zara sa is mein shararon ka rang bharna tha sulagti ret pe yaadon ke naqsh kyun chhode tujhe bhi gahre samundar mein jab utarna tha mila na mujh ko kisi se khiraj ashkon mein hawa ke hathon mujhe aur kuchh bikharna tha usi pe dagh hazimat ke lag gae dekho yaqin ki aag se jis shakl ko nikharna tha main khandaron mein use dhundta phira 'fikri' magar kahan tha wo aaseb jis se darna tha